जानिए Pradhan Mantri Awas Yojana (PMAY) 2025 के बारे में — Apply process, eligibility, benefits, loan details और online form भरने की पूरी जानकारी।
Pradhan Mantri Awas Yojana Kya Hai?- Har Gareeb Ke Sir Par Chhat
Pradhan Mantri Awas Yojana, Kya hai? Kaun apply kar sakta hai? Kya zaruri documents hote hain, aaj humne is article me sab vistaar se bataya hai…
Har insaan ka sapna hota hai ki apna pakka ghar ho. Lekin gareeb aur middle class parivaar ke liye kabhi-kabhi ye sapna thora mushkil lagne lagta tha ya abhi bhi hai. Isi liye Sarkar ne 2015 mein “PM Awas Yojana (PMAY)” shuru ki thi – jiska aim ya uddesiya hai “Sabke liye Ghar” (Housing for All).
Yeh PM Awas Yojana un logon ke liye hai jinke paas apna ghar nahi hai. Sarkar unhe ghar banane ya kharidne ke liye paisa aur loan par subsidy deti hai.
PM Awas Yojana Ke 2 Pramukh Hisse
- PMAY-Urban (PMAY-U) – Shehri (urban) logon ke liye
- PMAY-Gramin (PMAY-G) – Gaon ke logon ke liye
Rural ya gramin area ke liye Pradhan Mantri Gramin Awas Yojana sabse upyogi hai. Sarkar yahan apko ₹1.20 lakh se ₹1.30 lakh tak ki madad pradaan karti hai ghar banwane ke liye, joki seedhe apke bank account me transfer kiye jate hain.
PM Awas Yojana Loan aur Subsidy Details
Agar aap loan le kar ghar banana chahte hain, toh Sarkar aapko interest (byaaz) par subsidy deti hai. Dekhiye niche table me:
Category | Annual Income | Subsidy % | Max Loan Amount | Max Subsidy |
---|---|---|---|---|
EWS (Economically Weaker Section) | ₹3 lakh tak | 6.5% | ₹6 lakh | ₹2.67 lakh |
LIG (Low Income Group) | ₹6 lakh tak | 6.5% | ₹6 lakh | ₹2.67 lakh |
MIG-I (Middle Income Group-I) | ₹6–12 lakh | 4% | ₹9 lakh | ₹2.35 lakh |
MIG-II (Middle Income Group-II) | ₹12–18 lakh | 3% | ₹12 lakh | ₹2.30 lakh |
Isse aapki EMI yaa prati mahina kisht kam ho jaati hai aur ghar banana aasaan ho jata hai.
PM Awas Yojana Form aur zaruri Documents
Aapko pradhan mantri awas yojana, ka labh uthane ke liye online form ya offline form bharna hota hai – online ya offline dono options yaa dono tarike me available hain.
Kuch Zaruri Documents jo apko form bharte waqt apne saath rakhna hai-
- Aadhaar Card
- Income Certificate (Aay Pramaan Patra)
- Ration Card / Voter Card
- Bank Passbook
- Passport Size Photos
- Caste Certificate (Jaati Pramaan Patra) (yadi zarurat padi to hi)
- Plot ya Ghar ke Documents (agar apke paas koi ghar ya plot pehle se hi hai)
PM Awas Yojana Online Apply Kaise Kare?
Aapko Pradhan Mantri Awas Yojana Online apply karne ke liye niche diye gaye link par jaana hoga:
PMAY-Gramin Website: https://pmayg.nic.in/
PMAY-Urban (Seher) Website: https://pmaymis.gov.in/
Step-by-Step Process (PM Awas Yojana Gramin)
- Aap apne area ke hisaab se upar kisi bhi ek link par click karen.
- “Data Entry” section me jaaiye.
- Waahan apko “Registration Form” bhar dijiye (ise apko Aadhaar se verify karna hota hai).
- Apni saari jaruri Details fill karne ke baad form submit kar dijiye.
- Aapko registration number apko moblie ya email par mil jaayega jisse aap apne form ka status baad me check kar sakte hain.
PM Awas Yojana Gramin Ke Fayde
- ₹1.20 lakh – ₹1.30 lakh tak ghar banane ke liye grant yaa benefits milte hain.
- Aapke paise apko direct account me DBT ke zariye transfer hota hai.
- Toilet banane ke liye bhi extra help ya madad sarkaar ki taraf se milta hai.
- MGNREGA ke tahat mazdoori bhugtan bhi milta hai.
- Online tracking system se pura process aap jaan sakte hai.
Application Status Kaise Check Kare?
Agar aapne PM Awas Yojana ke liye apply kar chuken yaa kar diya, aur apko apke Pradhan Mantri Awas Yojana application ka status online janna hai to aap niche diye gye link se check kar sakte hain:
PM Awas Yojana-Gramin Status: https://pmayg.nic.in/netiay/home.aspx
PM Awas Yojana-Urban Status: https://pmaymis.gov.in
Bas apna Aadhaar Number ya Registration ID daaliye, jo apko form bharte waqt moble pe ya e mail pe mila tha, aur apko apka result turant mil jaayega.
Important Links (Ye Bookmark yaa links kahin save kar Le)
Purpose | Official Link |
---|---|
PMAY-Gramin Website | https://pmayg.nic.in/ |
PMAY-U Website | https://pmaymis.gov.in/ |
Check PMAY Gramin Application Status | https://pmayg.nic.in/netiay/home.aspx |
Check PMAY-U Application Status | https://pmaymis.gov.in/Open/Find_Beneficiary_Details.aspx |
PMAY Guidelines PDF | https://pmayg.nic.in/netiay/PMAYG_Guidelines.pdf |
Eligibility – Kaun Apply Kar Sakta Hai?
- Jin zarurat mandon ke paas apna ghar nahi hai
- Jinke ghar kacche ya tutne ke kagar par hain
- BPL (Below Poverty Line yaa Garibi Rekha ke Niche) list me unka naam hai
- Agar apka Aadhaar Card valid.
- Family income yaa Apki aay ki limit category ke hisaab se hai to aap apply kar sakte hain.
Important Tips
- Apka Aadhaar card sahi aur active hona chahiye.
- Paise prapt karne ke liye Bank me DBT (Direct Benefit Transfer) ke liye details sahi-sahi bhariye.
- Galat jaankari dene par form reject ya cancel ho sakta hai.
- Gram Panchayat ke mukhiyaa ke dwaara verification karwana zaroori hai.
Conclusion – Ghar Sirf Imarat Nahi, Apnapan Hai
Pradhan Mantri Awas Yojana ek aisi scheme hai jisse har gareeb parivaar ko pakka ghar mil sake.
Agar aap ne bhi abhi tak apply nahi kiya hai, toh aaj hi Pradhan Mantri Awas Yojana form online yaa PM Awas yojana offline form bhariye aur apne sapno ke ghar ki taraf pehla kadam uthaiye.
COMMENTS